meri bhi chah thi dekhunga jal-pari chhu kar
mirī bhī chaah thī dekhūñgā jal-parī chhū kar
magar maiñ lauT gayā bārhā nadī chhū kar
guzārnā kise kahte haiñ jāntā huuñ maiñ
guzar rahe haiñ tire ġham mirī ḳhushī chhū kar
tumhāre lams mirī dhaḌkaneñ baḌhāte haiñ
mujhe yaqīn huā hai tumheñ abhī chhū kar
maiñ khiḌkī kholtā thā to havā.eñ aatī thiiñ
kabhī kabhī use sun kar kabhī kabhī chhū kar
maiñ mar chukā huuñ magar shahr ko yaqīn nahīñ
abhī bhī dekh rahā mujh ko har koī chhū kar
tamām raat ghaḌī dekhtī rahī mujh ko
tamām vaqt guzartā rahā ghaḌī chhū kar
maiñ is liye bhī use āj-kal nahīñ chhūtā
mire dukhoñ ne kiyā hai use dukhī chhū kar
meri bhi chah thi dekhunga jal-pari chhu kar
magar main lauT gaya barha nadi chhu kar
guzarna kise kahte hain jaanta hun main
guzar rahe hain tere gham meri KHushi chhu kar
tumhaare lams meri dhaDkanen baDhate hain
mujhe yaqin hua hai tumhein abhi chhu kar
main khiDki kholta tha to hawaen aati thin
kabhi kabhi use sun kar kabhi kabhi chhu kar
main mar chuka hun magar shahr ko yaqin nahin
abhi bhi dekh raha mujh ko har koi chhu kar
tamam raat ghaDi dekhti rahi mujh ko
tamam waqt guzarta raha ghaDi chhu kar
main is liye bhi use aaj-kal nahin chhuta
mere dukhon ne kiya hai use dukhi chhu kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.