meri chah mein mere ishq mein tu kabhi kisi se laDa nahin
mirī chaah meñ mire ishq meñ tū kabhī kisī se laḌā nahīñ
isī bhuul kā ye azaab hai tū mirā nahīñ maiñ tirā nahīñ
thā gulāb maiñ thī ye aarzū tire gesuoñ meñ khilūñ kabhī
nahīñ khil sakā to ye jaan le ye tirī hai merī ḳhatā nahīñ
tirī yaad mujh se bahut laḌī mire añg añg meñ zaḳhm hai
maiñ taḌaptā rahtā huuñ dard se tujhe fikr merī zarā nahīñ
mirā dil to tere hī paas hai tū ise khañgāl ke dekh le
vahāñ tū hī tū hai har ik taraf vahāñ kuchh bhī tere sivā nahīñ
tire ishq se mujhe kyā milā mirī zindagī huī maut sī
mujhe ab talāsh sukūñ kī hai mujhe ab junūn-e-hinā nahīñ
mujhe aisī zaat se ishq hai jo ho mehrbān to maut kab
hai fanā.iyat meñ nihāñ baqā hai baqā agar to fanā nahīñ
meri chah mein mere ishq mein tu kabhi kisi se laDa nahin
isi bhul ka ye azab hai tu mera nahin main tera nahin
tha gulab main thi ye aarzu tere gesuon mein khilun kabhi
nahin khil saka to ye jaan le ye teri hai meri KHata nahin
teri yaad mujh se bahut laDi mere ang ang mein zaKHm hai
main taDapta rahta hun dard se tujhe fikr meri zara nahin
mera dil to tere hi pas hai tu ise khangal ke dekh le
wahan tu hi tu hai har ek taraf wahan kuchh bhi tere siwa nahin
tere ishq se mujhe kya mila meri zindagi hui maut si
mujhe ab talash sukun ki hai mujhe ab junun-e-hina nahin
mujhe aisi zat se ishq hai jo ho mehrban to maut kab
hai fanaiyat mein nihan baqa hai baqa agar to fana nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.