meri diwangi KHud saKHta nain
mirī dīvāngī ḳhud sāḳhta na.iiñ
maiñ jaisā huuñ maiñ vaisā chāhtā na.iiñ
sukūñ chehre kā tere kah rahā hai
ki ai dushman tū mujh ko jāntā na.iiñ
ye dil gustāḳh hotā jā rahā hai
ki suntā hai mirī par māntā na.iiñ
mujhe Dar hai mohabbat meñ agar vo
kahīñ kah de ḳhudā-na-ḳhāsta na.iiñ
agarche dil kahīñ par haar aayā
magar phir bhī maiñ dil-ardāshta na.iiñ
'amīr' is ishq kā mujh se na pūchho
pata tum sab ko hai kis ko pata na.iiñ
meri diwangi KHud saKHta nain
main jaisa hun main waisa chahta nain
sukun chehre ka tere kah raha hai
ki ai dushman tu mujh ko jaanta nain
ye dil gustaKH hota ja raha hai
ki sunta hai meri par manta nain
mujhe Dar hai mohabbat mein agar wo
kahin kah de KHuda-na-KHasta nain
agarche dil kahin par haar aaya
magar phir bhi main dil-ardashta nain
'amir' is ishq ka mujh se na puchho
pata tum sab ko hai kis ko pata nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.