meri diwangi ko apni zulfon mein chhupa baiThe
mirī dīvāngī ko apnī zulfoñ meñ chhupā baiThe
tamāshā dekhne vaale tamāshā kyoñ dikhā baiThe
ba-juz in chaar ashkoñ ke hamāre paas thā hī kyā
usī daulat ke mālik the usī ko ham luTā baiThe
mirī jānib se pahle hī bhare baiThe the ġhusse meñ
tumhāre haath kyā aaya lagī meñ kyoñ lagā baiThe
ab us kā jaisā jī chāhe bhalā maane burā maane
hue majbūr is dil se to ham bhī dar pe aa baiThe
koī vāqif na thā 'ejāz' is dil ke ta'alluq se
haqīqat khul ga.ī āḳhir jo vo parde meñ jā baiThe
ajab aalam thā ai 'ejāz' rindoñ kī masarrat kā
mire hāthoñ meñ jaam aaya to mai-ḳhāna luTā baiThe
meri diwangi ko apni zulfon mein chhupa baiThe
tamasha dekhne wale tamasha kyon dikha baiThe
ba-juz in chaar ashkon ke hamare pas tha hi kya
usi daulat ke malik the usi ko hum luTa baiThe
meri jaanib se pahle hi bhare baiThe the ghusse mein
tumhaare hath kya aaya lagi mein kyon laga baiThe
ab us ka jaisa ji chahe bhala mane bura mane
hue majbur is dil se to hum bhi dar pe aa baiThe
koi waqif na tha 'ejaz' is dil ke ta'alluq se
haqiqat khul gai aaKHir jo wo parde mein ja baiThe
ajab aalam tha ai 'ejaz' rindon ki masarrat ka
mere hathon mein jam aaya to mai-KHana luTa baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.