meri duaon ka ye moajiza lage hai mujhe
mirī duāoñ kā ye mo.ajiza lage hai mujhe
fusūn-e-tīra-shabī TūTtā lage hai mujhe
guzar chukā huuñ ka.ī baar in hisāroñ se
jahāñ kī ḳhaak bhī zanjīr-e-pā lage hai mujhe
ḳhushī ke naam se āñkhoñ meñ ashk aate haiñ
ġham-e-hayāt se dil āshnā lage hai mujhe
tamām log jo chauñke haiñ sun ke maqtal meñ
vo merī dard meñ Duubī sadā lage hai mujhe
ḳhabar nahīñ thī ki har shaḳhs tez-rau hogā
mirī rafīq-e-safar ab anā lage hai mujhe
bachūñgā sang-e-malāmat se kis tarah 'anvar'
isī ḳhayāl se ab ḳhauf sā lage hai mujhe
meri duaon ka ye moajiza lage hai mujhe
fusun-e-tira-shabi TuTta lage hai mujhe
guzar chuka hun kai bar in hisaron se
jahan ki KHak bhi zanjir-e-pa lage hai mujhe
KHushi ke nam se aankhon mein ashk aate hain
gham-e-hayat se dil aashna lage hai mujhe
tamam log jo chaunke hain sun ke maqtal mein
wo meri dard mein Dubi sada lage hai mujhe
KHabar nahin thi ki har shaKHs tez-rau hoga
meri rafiq-e-safar ab ana lage hai mujhe
bachunga sang-e-malamat se kis tarah 'anwar'
isi KHayal se ab KHauf sa lage hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.