meri duniya-e-dil zer-o-zabar hai
mirī duniyā-e-dil zer-o-zabar hai
mohabbat kī nazar bhī kyā nazar hai
hamārā baḳht bhī kyā auj par hai
mizāj-e-dushmanī zer-o-zabar hai
sahar tak ḳhaak bhī baaqī na hogī
ye bazm-e-māh-o-anjum raat bhar hai
mirī maane to maane kyā mirā dil
ye kāfir aap ke zer-e-asar hai
amīr-e-shahr ko is se ġharaz kyā
faqīr-e-shahr kab se dar-ba-dar hai
hamārā dil jise kahtī hai duniyā
agar pūchho vo 'āsī' hī kā ghar hai
meri duniya-e-dil zer-o-zabar hai
mohabbat ki nazar bhi kya nazar hai
hamara baKHt bhi kya auj par hai
mizaj-e-dushmani zer-o-zabar hai
sahar tak KHak bhi baqi na hogi
ye bazm-e-mah-o-anjum raat bhar hai
meri mane to mane kya mera dil
ye kafir aap ke zer-e-asar hai
amir-e-shahr ko is se gharaz kya
faqir-e-shahr kab se dar-ba-dar hai
hamara dil jise kahti hai duniya
agar puchho wo 'asi' hi ka ghar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.