meri duniya ka aasra ho kar
meri duniya ka aasra ho kar
Syed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
MORE BYSyed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
mirī duniyā kā aasrā ho kar
mujh ko bhūle ho kyoñ ḳhafā ho kar
badr-e-chishtī tumhārī ulfat meñ
maut aa.ī magar baqā ho kar
zindagī zindagī banī āḳhir
aap ke ishq meñ fanā ho kar
zindagī us kī kā.enāt us kī
jo rahā badr-e-chisht kā ho kar
lazzat-e-dard-e-ġham ko kyā kahiye
dard aayā magar davā ho kar
ab maiñ ḳhud ko talāsh kartā huuñ
ishq aayā thā aur gayā ho kar
bhuul jaatā hai mā-sivā ko dil
sozish-e-ġham se āshnā ho kar
meri duniya ka aasra ho kar
mujh ko bhule ho kyon KHafa ho kar
badr-e-chishti tumhaari ulfat mein
maut aai magar baqa ho kar
zindagi zindagi bani aaKHir
aap ke ishq mein fana ho kar
zindagi us ki kaenat us ki
jo raha badr-e-chisht ka ho kar
lazzat-e-dard-e-gham ko kya kahiye
dard aaya magar dawa ho kar
ab main KHud ko talash karta hun
ishq aaya tha aur gaya ho kar
bhul jata hai ma-siwa ko dil
sozish-e-gham se aashna ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.