meri gahraiyan pal-bhar mein wo nayab kar dega
mirī gahrā.iyāñ pal-bhar meñ vo nāyāb kar degā
mujhe vo bāzuoñ meñ legā aur pāyāb kar degā
ajab andāz hai us gul-badan ke pyaar karne kā
mujhe pātāl tak le jā ke mahv-e-ḳhvāb kar degā
vo jab chāhe jise chāhe ġhurūr-e-āshnā.ī de
nazar bhar kar jise dekhegā vo surḳhāb kar degā
sunā hai gul kī ra.anā.ī rahegī jūñ-kī-tūñ lekin
jo sailāb aa.egā ḳhushbū ko zer-e-āb kar degā
'shanāvar' qatra qatra bahtī āñkhoñ kā bhī kuchh socho!
ye aisā rog hai miTTī tirī be-āb kar degā
meri gahraiyan pal-bhar mein wo nayab kar dega
mujhe wo bazuon mein lega aur payab kar dega
ajab andaz hai us gul-badan ke pyar karne ka
mujhe patal tak le ja ke mahw-e-KHwab kar dega
wo jab chahe jise chahe ghurur-e-ashnai de
nazar bhar kar jise dekhega wo surKHab kar dega
suna hai gul ki ranai rahegi jun-ki-tun lekin
jo sailab aaega KHushbu ko zer-e-ab kar dega
'shanawar' qatra qatra bahti aankhon ka bhi kuchh socho!
ye aisa rog hai miTTi teri be-ab kar dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.