meri ghazal se ghazal ki mahfil sajaane wala koi na hoga
mirī ġhazal se ġhazal kī mahfil sajāne vaalā koī na hogā
ye baat tai hai ki merī barsī manāne vaalā koī na hogā
varaq varaq āñsuoñ kā bistar bichhāne vaalā koī na hogā
ġhamoñ ko ġhazloñ ke pālne meñ sulāne vaalā koī na hogā
maiñ dil-burīda sā ek shā'ir huuñ merā dil band ho gayā to
qasam qalam kī dukhoñ kā mātam manāne vaalā koī na hogā
kabhī jo mujh sā haqīqatoñ kā payāmbar uTh gayā jahāñ se
ġhazal ke parde pe sach ke manzar dikhāne vaalā koī na hogā
jo is sadī meñ mirī ġhazal ko milī na tauqīr 'mīr' jaisī
to aglī sadiyoñ meñ ġhazleñ-vazleñ sunāne vaalā koī na hogā
maiñ ruuTh jā.ūñgā bazm-e-hastī kī raunaqoñ se to dekh lenā
gale se apne lagā ke mujh ko manāne vaalā koī na hogā
safed chādar ko oḌh kar ek raat so jā.uñgā maiñ aise
ki sub.h-dam is jahāñ meñ mujh ko jagāne vaalā koī na hogā
maiñ misl-e-bū-zar akelā ik dasht-e-be-kasī meñ marūñgā aur phir
chahār-jānib mirā janāza uThāne vaalā koī na hogā
mujhe yaqīñ hai maiñ baa'd marne ke kargasoñ kā shikam bharūñgā
zamīñ kī godī meñ merā lāsha chhupāne vaalā koī na hogā
maiñ jāntā huuñ ba-juz ḳhudā is jahāñ meñ merā koī nahīñ hai
maiñ jāntā huuñ ki merī turbat banāne vaalā koī na hogā
tamām rishte tamām naate maiñ zindagī meñ hī kho chukā huuñ
so merī mayyat pe chaar aañsū bahāne vaalā koī na hogā
ḳhudā ne jannat ke aaTh darje kiye haiñ taḳhlīq par ye sach hai
kisī meñ bhī ḳhilqat-e-ḳhudā ko satāne vaalā koī na hogā
tumhī batāo kahāñ se lāoge apne matbaḳh meñ maañ sī barkat
jab āyateñ paḌh ke ghar meñ chūlhā jalāne vaalā koī na hogā
vo aisā bad-baḳht hukmarāñ hai jise muhāfiz ye kah rahe haiñ
hameñ bachāo vagarna tum ko bachāne vaalā koī na hogā
ye pāniyoñ ke vabāl vīrān kar ke rakh deñge sāhiloñ ko
udaas dariyā meñ kashtiyoñ ko chalāne vaalā koī na hogā
jo barkhā-rut ne isī tarah se bahā diyā saarī bastiyoñ ko
to pyāsī dhartī pe megh-malhār gaane vaalā koī na hogā
ḳhudā-e-bartar mire kisānoñ ko ġharq hone se tū bachā le
vagarna ik din sunahrī gandum ugāne vaalā koī na hogā
samay bahut hai qarīb 'vāsif' maiñ aise ik des jā rahā huuñ
jahāñ pe apnā-parāyā mujh ko rulāne vaalā koī na hogā
meri ghazal se ghazal ki mahfil sajaane wala koi na hoga
ye baat tai hai ki meri barsi manane wala koi na hoga
waraq waraq aansuon ka bistar bichhane wala koi na hoga
ghamon ko ghazlon ke palne mein sulane wala koi na hoga
main dil-burida sa ek sha'ir hun mera dil band ho gaya to
qasam qalam ki dukhon ka matam manane wala koi na hoga
kabhi jo mujh sa haqiqaton ka payambar uTh gaya jahan se
ghazal ke parde pe sach ke manzar dikhane wala koi na hoga
jo is sadi mein meri ghazal ko mili na tauqir 'mir' jaisi
to agli sadiyon mein ghazlen-wazlen sunane wala koi na hoga
main ruTh jaunga bazm-e-hasti ki raunaqon se to dekh lena
gale se apne laga ke mujh ko manane wala koi na hoga
safed chadar ko oDh kar ek raat so jaunga main aise
ki subh-dam is jahan mein mujh ko jagane wala koi na hoga
main misl-e-bu-zar akela ek dasht-e-be-kasi mein marunga aur phir
chahaar-jaanib mera janaza uThane wala koi na hoga
mujhe yaqin hai main ba'd marne ke kargason ka shikam bharunga
zamin ki godi mein mera lasha chhupane wala koi na hoga
main jaanta hun ba-juz KHuda is jahan mein mera koi nahin hai
main jaanta hun ki meri turbat banane wala koi na hoga
tamam rishte tamam nate main zindagi mein hi kho chuka hun
so meri mayyat pe chaar aansu bahane wala koi na hoga
KHuda ne jannat ke aaTh darje kiye hain taKHliq par ye sach hai
kisi mein bhi KHilqat-e-KHuda ko satane wala koi na hoga
tumhi batao kahan se laoge apne matbaKH mein man si barkat
jab aayaten paDh ke ghar mein chulha jalane wala koi na hoga
wo aisa bad-baKHt hukmaran hai jise muhafiz ye kah rahe hain
hamein bachao wagarna tum ko bachane wala koi na hoga
ye paniyon ke wabaal viran kar ke rakh denge sahilon ko
udas dariya mein kashtiyon ko chalane wala koi na hoga
jo barkha-rut ne isi tarah se baha diya sari bastiyon ko
to pyasi dharti pe megh-malhaar gane wala koi na hoga
KHuda-e-bartar mere kisanon ko gharq hone se tu bacha le
wagarna ek din sunahri gandum ugane wala koi na hoga
samay bahut hai qarib 'wasif' main aise ek des ja raha hun
jahan pe apna-paraya mujh ko rulane wala koi na hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.