meri har baat ka iqrar kar ke
mirī har baat kā iqrār kar ke
gayā vo zindagī dushvār kar ke
purānā ġham nayā singhār kar ke
chalā jā.egā mujh se pyaar kar ke
tū haarā zulm kī had se guzar kar
maiñ jiitā sabr ko hathiyār kar ke
haqīqat aur hī hogī yaqīnan
paḌho chehroñ ko tum aḳhbār kar ke
ġhalat-fahmī diloñ ke biich aksar
chalī jaatī hai ik dīvār kar ke
adāvat meñ to āsānī hai lekin
bahut mushkil hai jiinā pyaar kar ke
'zahīn' āḳhir zamāna so gayā hai
tire har dard ko bedār kar ke
meri har baat ka iqrar kar ke
gaya wo zindagi dushwar kar ke
purana gham naya singhaar kar ke
chala jaega mujh se pyar kar ke
tu haara zulm ki had se guzar kar
main jita sabr ko hathiyar kar ke
haqiqat aur hi hogi yaqinan
paDho chehron ko tum aKHbar kar ke
ghalat-fahmi dilon ke bich aksar
chali jati hai ek diwar kar ke
adawat mein to aasani hai lekin
bahut mushkil hai jina pyar kar ke
'zahin' aaKHir zamana so gaya hai
tere har dard ko bedar kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.