meri har guftugu tauhid ki hai
mirī har guftugū tauhīd kī hai
so maiñ ne ishq kī tā.īd kī hai
kabhī guzre ho kyā tum karbalā se
kabhī shabbīr kī taqlīd kī hai
yahāñ jo raushnī hai chaar jānib
sināñ par bolte ḳhurshīd kī hai
lahū kā rang Daalā hai ġhazal meñ
darūñ ke soz kī tajdīd kī hai
hasad se zang lagtā hai diloñ ko
yahī ik dost ne tākīd kī hai
jise mujh se mohabbat hī nahīñ thī
usī ne ḳhair se tardīd kī hai
ḳhizāñ kā dard siine se lagā kar
visāl-e-yār kī ummīd kī hai
'suhaib' aisī ḳhabar ne aa liyā hai
ki maiñ ne nazm meñ tajrīd kī hai
meri har guftugu tauhid ki hai
so main ne ishq ki taid ki hai
kabhi guzre ho kya tum karbala se
kabhi shabbir ki taqlid ki hai
yahan jo raushni hai chaar jaanib
sinan par bolte KHurshid ki hai
lahu ka rang Dala hai ghazal mein
darun ke soz ki tajdid ki hai
hasad se zang lagta hai dilon ko
yahi ek dost ne takid ki hai
jise mujh se mohabbat hi nahin thi
usi ne KHair se tardid ki hai
KHizan ka dard sine se laga kar
visal-e-yar ki ummid ki hai
'suhaib' aisi KHabar ne aa liya hai
ki main ne nazm mein tajrid ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.