meri hayat ke sahra mein chhanw jaisa tha
mirī hayāt ke sahrā meñ chhāñv jaisā thā
ajiib shaḳhs thā ThanDī havāoñ jaisā thā
khulā hī rahtā thā har-dam gulāb kī sūrat
mizāj us kā chaman kī fazāoñ jaisā thā
usī zamāne meñ rahtā huuñ har zamāne meñ
vo jab badan pe guloñ kī qabāoñ jaisā thā
ye us kī yaad tapāñ kyuuñ hai dhuup sī 'fāḳhir'
vo bevafā to barastī ghaTāoñ jaisā thā
meri hayat ke sahra mein chhanw jaisa tha
ajib shaKHs tha ThanDi hawaon jaisa tha
khula hi rahta tha har-dam gulab ki surat
mizaj us ka chaman ki fazaon jaisa tha
usi zamane mein rahta hun har zamane mein
wo jab badan pe gulon ki qabaon jaisa tha
ye us ki yaad tapan kyun hai dhup si 'faKHir'
wo bewafa to barasti ghaTaon jaisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.