meri hayat ko yun paemal usne kiya
mirī hayāt ko yuuñ pā.emāl us ne kiyā
ki merā dard se rishta bahāl us ne kiyā
vo bevafā.ī ko kār-e-kamāl kahtā thā
phir ek roz ye kār-e-kamāl us ne kiyā
shikār-e-hijr mujhe kar gayā vo ik pal meñ
ki merī ziist ke pal-pal ko saal us ne kiyā
javāb koī bhī jab ban nahīñ sakā us se
mire savāl pe ulTā savāl us ne kiyā
chhurī ko tez bahut tez kar ke laayā vo
'ajīb Dhang se merā ḳhayāl us ne kiyā
'umair' us se farāvāniyāñ jo māñgīñ to
judā.iyoñ se mujhe mālā-māl us ne kiyā
meri hayat ko yun paemal us ne kiya
ki mera dard se rishta bahaal us ne kiya
wo bewafai ko kar-e-kamal kahta tha
phir ek roz ye kar-e-kamal us ne kiya
shikar-e-hijr mujhe kar gaya wo ek pal mein
ki meri zist ke pal-pal ko sal us ne kiya
jawab koi bhi jab ban nahin saka us se
mere sawal pe ulTa sawal us ne kiya
chhuri ko tez bahut tez kar ke laya wo
'ajib Dhang se mera KHayal us ne kiya
'umair' us se farawaniyan jo mangin to
judaiyon se mujhe mala-mal us ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.