meri hi aankhen mere sarapa pe hans rahi thin
mirī hī āñkheñ mire sarāpā pe hañs rahī thiiñ
jab aa.ine se ġhubār utrā to maiñ ne dekhā
sināñ thī siine ke surḳh sail-e-ravāñ meñ raushan
faras se jab shahsavār utrā to maiñ ne dekhā
harīf zāhir meñ aur andar se merā mūnis
jab us kī āñkhoñ ke paar utrā to maiñ ne dekhā
kamāñ thī TuuTī thā ḳhālī tarkash jo merā dushman
fasīl se sharmsār utrā to maiñ ne dekhā
havā paroñ par sajā ke laa.ī thī ek sūraj
zamīñ pe vo zar-nigār utrā to maiñ ne dekhā
tamām shāḳheñ barahna-sar thiiñ jo ab ke mausam
shajar se be-barg-o-bār utrā to maiñ ne dekhā
halīf merā harīf niklā jo us ke tan se
libāda-e-e'tibār utrā to maiñ ne dekhā
meri hi aankhen mere sarapa pe hans rahi thin
jab aaine se ghubar utra to main ne dekha
sinan thi sine ke surKH sail-e-rawan mein raushan
faras se jab shahsawar utra to main ne dekha
harif zahir mein aur andar se mera munis
jab us ki aankhon ke par utra to main ne dekha
kaman thi TuTi tha KHali tarkash jo mera dushman
fasil se sharmsar utra to main ne dekha
hawa paron par saja ke lai thi ek suraj
zamin pe wo zar-nigar utra to main ne dekha
tamam shaKHen barahna-sar thin jo ab ke mausam
shajar se be-barg-o-bar utra to main ne dekha
halif mera harif nikla jo us ke tan se
libaada-e-e'tibar utra to main ne dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.