meri hi samt baDhi barq-e-be-aman ki tarah
mirī hī samt baḌhī barq-e-be-amāñ kī tarah
na.ī bahār ne luuTā mujhe ḳhizāñ kī tarah
hamāre qāmat-e-bālā kā kyā ḳhizāñ kī tarah
zamīñ pe rahte haiñ ham log āsmāñ kī tarah
qafas ko chhoḌ deñ sayyād kī ye ḳhvāhish hai
qafas meñ rahne lage ham jo āshiyāñ kī tarah
kahāñ rahegā tumhāre ġhurūr kā aalam
fuġhāñ laboñ pe agar aa ga.ī fuġhāñ kī tarah
tumhāre husn kī ra.anā.iyāñ hamīñ se haiñ
miTāo ham ko na tum harf-e-dāstāñ kī tarah
ab aur pās-e-vafā is se baḌh ke kyā hogā
zabān rakhte hue ham haiñ be-zabāñ kī tarah
talāsh-e-manzil-e-maqsad se baaz ā.eñge
ubhar ke baiTheñge ham gard-e-kārvāñ kī tarah
chaman meñ barq kā qissa tamām ho jaa.e
ham āshiyāñ ko banā.eñ jo āshiyāñ kī tarah
karūñ adā maiñ ināyat kā shukriya kaise
baḌe ḳhulūs se milte ho rāz-dāñ kī tarah
pilā sako to pilāo ḳhulūs-o-rabt ke jaam
jo mil sako to milo ham se meherbāñ kī tarah
'vakīl' ek qadam apnā haT nahīñ saktā
jo imtihān-e-mohabbat ho imtihāñ kī tarah
meri hi samt baDhi barq-e-be-aman ki tarah
nai bahaar ne luTa mujhe KHizan ki tarah
hamare qamat-e-baala ka kya KHizan ki tarah
zamin pe rahte hain hum log aasman ki tarah
qafas ko chhoD den sayyaad ki ye KHwahish hai
qafas mein rahne lage hum jo aashiyan ki tarah
kahan rahega tumhaare ghurur ka aalam
fughan labon pe agar aa gai fughan ki tarah
tumhaare husn ki ranaiyan hamin se hain
miTao hum ko na tum harf-e-dastan ki tarah
ab aur pas-e-wafa is se baDh ke kya hoga
zaban rakhte hue hum hain be-zaban ki tarah
talash-e-manzil-e-maqsad se baz aaenge
ubhar ke baiThenge hum gard-e-karwan ki tarah
chaman mein barq ka qissa tamam ho jae
hum aashiyan ko banaen jo aashiyan ki tarah
karun ada main inayat ka shukriya kaise
baDe KHulus se milte ho raaz-dan ki tarah
pila sako to pilao KHulus-o-rabt ke jam
jo mil sako to milo hum se meherban ki tarah
'wakil' ek qadam apna haT nahin sakta
jo imtihan-e-mohabbat ho imtihan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.