meri jaanib nigah-e-naz kar aahista aahista
mirī jānib nigāh-e-nāz kar āhista āhista
mire dil ke jazīre meñ utar āhista āhista
mohabbat donoñ jānib hai tafāvut sirf itnā hai
idhar hai tez-rau lekin udhar āhista āhista
tirī beTī kā qad tere barābar ho gayā shāyad
tū apnī ḳhud-kushī par ġhaur kar āhista āhista
sahar aa.ī na aa.e vo sitāro jaao so jaao
ki ab chalte haiñ ham bhī apne ghar āhista āhista
jo kal tak merī barbādī kī qasmeñ khāte phirte the
vahī ab ho rahe haiñ dar-ba-dar āhista āhista
na jaane rah-ravān-e-rāh kā ab hashr kyā hogā
bhaTakte jā rahe haiñ rāhbar āhista āhista
ḳhudā ke vāste samjhā-bujhā kar rok le koī
vo dekho jā rahe haiñ ruuTh kar āhista āhista
adāvat dil meñ rakhnā muskurā kar guftugū karnā
sabhī ko aa gayā hai ye hunar āhista āhista
nimaT luuñ dostoñ kī dostī se pahle ai 'hamza'
to lūñgā dushmanoñ kī bhī ḳhabar āhista āhista
meri jaanib nigah-e-naz kar aahista aahista
mere dil ke jazire mein utar aahista aahista
mohabbat donon jaanib hai tafawut sirf itna hai
idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista
teri beTi ka qad tere barabar ho gaya shayad
tu apni KHud-kushi par ghaur kar aahista aahista
sahar aai na aae wo sitaro jao so jao
ki ab chalte hain hum bhi apne ghar aahista aahista
jo kal tak meri barbaadi ki qasmen khate phirte the
wahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista
na jaane rah-rawan-e-rah ka ab hashr kya hoga
bhaTakte ja rahe hain rahbar aahista aahista
KHuda ke waste samjha-bujha kar rok le koi
wo dekho ja rahe hain ruTh kar aahista aahista
adawat dil mein rakhna muskura kar guftugu karna
sabhi ko aa gaya hai ye hunar aahista aahista
nimaT lun doston ki dosti se pahle ai 'hamza'
to lunga dushmanon ki bhi KHabar aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.