meri jholi mein wo lafzon ke moti Dal deta hai
mirī jholī meñ vo lafzoñ ke motī Daal detā hai
sivā.e is ke kuchh māñgūñ to hañs kar Taal detā hai
sujhātā hai vahī rasta bhī un se bach nikalne kā
jo in āñkhoñ ko ḳhvāboñ ke sunahre jaal detā hai
mirā ik kārobār-e-jazba-o-alfāz hai us se
mire jazboñ ko pighlā kar vo misre Dhaal detā hai
haqīqat ghol rakhtā hai vo rūmānoñ ke paanī meñ
manāzir Thos detā hai nazar sayyāl detā hai
utar aatā hai vo shoḳhī pe yuuñ bhī mehrbānī kī
mire ik she'r kī mohlat ko maah o saal detā hai
meri jholi mein wo lafzon ke moti Dal deta hai
siwae is ke kuchh mangun to hans kar Tal deta hai
sujhata hai wahi rasta bhi un se bach nikalne ka
jo in aankhon ko KHwabon ke sunahre jal deta hai
mera ek karobar-e-jazba-o-alfaz hai us se
mere jazbon ko pighla kar wo misre Dhaal deta hai
haqiqat ghol rakhta hai wo rumanon ke pani mein
manazir Thos deta hai nazar sayyal deta hai
utar aata hai wo shoKHi pe yun bhi mehrbani ki
mere ek she'r ki mohlat ko mah o sal deta hai
- Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 15)
- Author : abdul ahad saaz
- Publication : madran publication house 9,gola market daryagan new delhi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.