meri KHamushi mein bhi eajaz aae
mirī ḳhāmushī meñ bhī e.ajāz aa.e
kahīñ se koī mujh ko āvāz aa.e
vo chehra na jaane kahāñ kho gayā hai
vo jis se lahū meñ tag-o-tāz aa.e
nikālā kisī ne na patthar se bāhar
mire shahr meñ roz but-sāz aa.e
uḌe niilī niilī ragoñ se nikal kar
mire dard meñ zauq-e-parvāz aa.e
sazā be-gunāhī kī maiñ kāTtī huuñ
mujhe zindagī ke na andāz aa.e
mohabbat ai dīvānī pāgal mohabbat
hameñ chhoḌ de dekh ham baaz aa.e
mirī tishna-kāmī savālī hai jis kī
kabhī to vo 'naināñ' ba-sad-nāz aa.e
meri KHamushi mein bhi eajaz aae
kahin se koi mujh ko aawaz aae
wo chehra na jaane kahan kho gaya hai
wo jis se lahu mein tag-o-taz aae
nikala kisi ne na patthar se bahar
mere shahr mein roz but-saz aae
uDe nili nili ragon se nikal kar
mere dard mein zauq-e-parwaz aae
saza be-gunahi ki main kaTti hun
mujhe zindagi ke na andaz aae
mohabbat ai diwani pagal mohabbat
hamein chhoD de dekh hum baz aae
meri tishna-kaami sawali hai jis ki
kabhi to wo 'nainan' ba-sad-naz aae
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 428)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.