meri majburiyan thin kuchh KHafa hona nahin tha
mirī majbūriyāñ thiiñ kuchh ḳhafā honā nahīñ thā
tumhārā qarz mujh se ab adā honā nahīñ thā
hamāre haath meñ larzish kabhī hotī nahīñ hai
nishāna bāñdh lete to ḳhatā honā nahīñ thā
agar tanhā mujhe yuuñ chhoḌ kar jaate nahīñ tum
hunar ye she'r kā mujh ko 'atā honā nahīñ thā
tumhārī faisla-sāzī thī kuchh kamzor varna
sitāroñ meñ ye likkhā hai judā honā nahīñ thā
abhī kuchh roz iddat meñ guzāreñge tumhārī
abhī vaise bhī ham se kuchh baḌā honā nahīñ thā
meri majburiyan thin kuchh KHafa hona nahin tha
tumhaara qarz mujh se ab ada hona nahin tha
hamare hath mein larzish kabhi hoti nahin hai
nishana bandh lete to KHata hona nahin tha
agar tanha mujhe yun chhoD kar jate nahin tum
hunar ye she'r ka mujh ko 'ata hona nahin tha
tumhaari faisla-sazi thi kuchh kamzor warna
sitaron mein ye likkha hai juda hona nahin tha
abhi kuchh roz iddat mein guzarenge tumhaari
abhi waise bhi hum se kuchh baDa hona nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.