meri manzilen zara dur thin mera rasta na thaka magar
mirī manzileñ zarā duur thiiñ mirā rāstā na thakā magar
baḌī saḳht thī ye musāfirat mirā ham-safar thā bhalā magar
mirī be-ruḳhī ko ai bevafā na adāvatoñ kā tū naam de
mirī chāhatoñ meñ kamī nahīñ mujhe tujh se kuchh hai gila magar
ye navāzisheñ mire yaar kī isī zaḳhm-e-dil ke sabab se haiñ
yuuñ ayādatoñ ko to aa.eñ sab mujhe de na koī davā magar
mirī raushnī ko miTā gayā vo jo jaate jaate bujhā gayā
mirā dil jalā mirā ghar jalā vo charāġh phir na jalā magar
kabhī charḳh us ko junūñ mile mire dil ko bhī to sukūñ mile
use ārzū-e-karam to ho mire lab pe ho na duā magar
mire ham-safar usī moḌ par tirā haath hai mujhe chhoḌnā
mirī manzileñ to vahīñ hai sab mirā rāstā hai judā magar
mire naam par jo haiñ tohmateñ mire sāmne bhī lagā kabhī
tire jhuuT ko bhī maiñ sach kahūñ tū nazar nazar se milā magar
kabhī is tarah bhī mile the ham ki laboñ pe harf-e-gila na thā
use shāyad ab ke na yaad ho kabhī us ne kī thī vafā magar
tirī baat maiñ ne ye maan lī maiñ nahīñ huuñ tere ḳhayāl meñ
mirā zikr jis meñ huā na ho mujhe vo ġhazal to sunā magar
mujhe koī tujh se gila na ho tirī chiiz hai tirā iḳhtiyār
use ġhair ko tū zarūr de mirā naam dil se miTā magar
meri manzilen zara dur thin mera rasta na thaka magar
baDi saKHt thi ye musafirat mera ham-safar tha bhala magar
meri be-ruKHi ko ai bewafa na adawaton ka tu nam de
meri chahaton mein kami nahin mujhe tujh se kuchh hai gila magar
ye nawazishen mere yar ki isi zaKHm-e-dil ke sabab se hain
yun ayaadaton ko to aaen sab mujhe de na koi dawa magar
meri raushni ko miTa gaya wo jo jate jate bujha gaya
mera dil jala mera ghar jala wo charagh phir na jala magar
kabhi charKH us ko junun mile mere dil ko bhi to sukun mile
use aarzu-e-karam to ho mere lab pe ho na dua magar
mere ham-safar usi moD par tera hath hai mujhe chhoDna
meri manzilen to wahin hai sab mera rasta hai juda magar
mere nam par jo hain tohmaten mere samne bhi laga kabhi
tere jhuT ko bhi main sach kahun tu nazar nazar se mila magar
kabhi is tarah bhi mile the hum ki labon pe harf-e-gila na tha
use shayad ab ke na yaad ho kabhi us ne ki thi wafa magar
teri baat main ne ye man li main nahin hun tere KHayal mein
mera zikr jis mein hua na ho mujhe wo ghazal to suna magar
mujhe koi tujh se gila na ho teri chiz hai tera iKHtiyar
use ghair ko tu zarur de mera nam dil se miTa magar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.