Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri mohabbaton ka tir us pe chal nahin raha

Ghalib Doraib

meri mohabbaton ka tir us pe chal nahin raha

Ghalib Doraib

MORE BYGhalib Doraib

    mirī mohabbatoñ tiir us pe chal nahīñ rahā

    jalā rahā huuñ maiñ magar charāġh jal nahīñ rahā

    ye aur sāniha hai jo malūl ho rahā huuñ maiñ

    tumhāre chhoḌ jaane par maiñ haath mal nahīñ rahā

    nikal ke aa gayā huuñ tere shahr-e-nā-murād se

    magar tirā ḳhayāl zehn se nikal nahīñ rahā

    ki us yaad pahle bhī to roz aatī thī mujhe

    na jaane aaj kyoñ magar ye dil sañbhal nahīñ rahā

    milegā aaj shaam vo kiyā hai vā'da us ne aur

    sitam ye dekhiye ki āftāb Dhal nahīñ rahā

    vo āñkheñ bujh ga.ī haiñ ab vo hoñT ḳhushk ho ga.e

    mirī udāsiyoñ ab koī bhī hal nahīñ rahā

    ki sūq-e-chashm meñ miyāñ vo raunaqeñ nahīñ rahīñ

    ki muddateñ huiiñ yahāñ pe kaam chal nahīñ rahā

    so us pe kyā ġhazal likheñ vo husn ab to Dhal gayā

    so us shajar pe baat kyā vo jis pe phal nahīñ rahā

    hazār harbe āzmā.e us ke vāste 'doraib'

    ḳhayāl haif koī bhī magar saphal nahīñ rahā

    meri mohabbaton ka tir us pe chal nahin raha

    jala raha hun main magar charagh jal nahin raha

    ye aur saniha hai jo malul ho raha hun main

    tumhaare chhoD jaane par main hath mal nahin raha

    nikal ke aa gaya hun tere shahr-e-na-murad se

    magar tera KHayal zehn se nikal nahin raha

    ki us ki yaad pahle bhi to roz aati thi mujhe

    na jaane aaj kyon magar ye dil sanbhal nahin raha

    milega aaj sham wo kiya hai wa'da us ne aur

    sitam ye dekhiye ki aaftab Dhal nahin raha

    wo aankhen bujh gai hain ab wo honT KHushk ho gae

    meri udasiyon ka ab koi bhi hal nahin raha

    ki suq-e-chashm mein miyan wo raunaqen nahin rahin

    ki muddaten huin yahan pe kaam chal nahin raha

    so us pe kya ghazal likhen wo husn ab to Dhal gaya

    so us shajar pe baat kya wo jis pe phal nahin raha

    hazar harbe aazmae us ke waste 'doraib'

    KHayal haif koi bhi magar saphal nahin raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now