meri mushkil agar aasan bana dete to achchha tha
meri mushkil agar aasan bana dete to achchha tha
Atiq Ur Rehman Safi
MORE BYAtiq Ur Rehman Safi
mirī mushkil agar āsāñ banā dete to achchhā thā
laboñ se lab dam-e-āḳhir milā dete to achchhā thā
maiñ jī saktā thā bas terī zarā sī ik ināyat se
mire hāthoñ meñ haath apnā thamā dete to achchhā thā
mirī betāb dhaḌkan ko bhī aa jaatā qarār āḳhir
mire ḳhvāboñ kī duniyā ko sajā dete to achchhā thā
tumhārī be-ruḳhī par dil mirā bechain rahtā thā
kabhī aadat ye tum apnī bhulā dete to achchhā thā
kabhī is jald-bāzī kā samar achchhā nahīñ hotā
koī din aur chāhat meñ bitā dete to achchhā thā
'safī' aañsū bhī dushman ban ga.e haiñ dekh le āḳhir
na in ko zabt karte tum bahā dete to achchhā thā
meri mushkil agar aasan bana dete to achchha tha
labon se lab dam-e-aKHir mila dete to achchha tha
main ji sakta tha bas teri zara si ek inayat se
mere hathon mein hath apna thama dete to achchha tha
meri betab dhaDkan ko bhi aa jata qarar aaKHir
mere KHwabon ki duniya ko saja dete to achchha tha
tumhaari be-ruKHi par dil mera bechain rahta tha
kabhi aadat ye tum apni bhula dete to achchha tha
kabhi is jald-bazi ka samar achchha nahin hota
koi din aur chahat mein bita dete to achchha tha
'safi' aansu bhi dushman ban gae hain dekh le aaKHir
na in ko zabt karte tum baha dete to achchha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.