meri muTThi mein miTTi hai mohabbat ki
mirī muTThī meñ miTTī hai mohabbat kī
ye daulat kā.enātī hai mohabbat kī
maiñ patthar ko badal detā huuñ resham meñ
mire hāthoñ meñ narmī hai mohabbat kī
tumheñ dekhūñ to nafrat se nahīñ fursat
mujhe dekho to jaldī hai mohabbat kī
charāġh-e-dil kabhī bujhtā nahīñ merā
mizāj-e-ḳhūñ meñ garmī hai mohabbat kī
rag-o-pai meñ utartā hai ajab nashsha
tirī āñkhoñ meñ mastī hai mohabbat kī
isī meñ hai hamārī sarḳhushī āḳhir
ise thāmo ye rassī hai mohabbat kī
nahīñ hai tursh us kā zā.iqa 'shāhid'
bahut mīThī ye imlī hai mohabbat kī
meri muTThi mein miTTi hai mohabbat ki
ye daulat kaenati hai mohabbat ki
main patthar ko badal deta hun resham mein
mere hathon mein narmi hai mohabbat ki
tumhein dekhun to nafrat se nahin fursat
mujhe dekho to jaldi hai mohabbat ki
charagh-e-dil kabhi bujhta nahin mera
mizaj-e-KHun mein garmi hai mohabbat ki
rag-o-pai mein utarta hai ajab nashsha
teri aankhon mein masti hai mohabbat ki
isi mein hai hamari sarKHushi aaKHir
ise thamo ye rassi hai mohabbat ki
nahin hai tursh us ka zaiqa 'shahid'
bahut miThi ye imli hai mohabbat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.