Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri nazar ka nahin mere dil ka dhoka tha

Ahmad Kamal Hashmi

meri nazar ka nahin mere dil ka dhoka tha

Ahmad Kamal Hashmi

MORE BYAhmad Kamal Hashmi

    mirī nazar nahīñ mere dil dhokā thā

    vo to nahīñ thā koī aur tere jaisā thā

    jo chhan se Tuut gayā kyā thā dekhnā hogā

    vo ḳhvāb thā ki mirā dil ki koī shīsha thā

    amiir log ḳharīdār ban ke aa.e the

    mujhe kisī ne ḳharīdā nahīñ ki sastā thā

    siyāh chashme ke pīchhe se maiñ ne sab dekhā

    tamām log samajhte rahe maiñ andhā thā

    samajh meñ aa.ī hai ab ke us ko qadr mirī

    usī ne mujh ko ḳharīdā ki jis ne bechā thā

    zamīñ pe aaj talak maiñ pahuñch nahīñ paayā

    kisī ne itnī bulandī se mujh ko pheñkā thā

    kuchh aur samjhā gayā us ke har ishāre ko

    gavāh qatl mere 'kamāl' gūñgā thā

    meri nazar ka nahin mere dil ka dhoka tha

    wo to nahin tha koi aur tere jaisa tha

    jo chhan se Tut gaya kya tha dekhna hoga

    wo KHwab tha ki mera dil ki koi shisha tha

    amir log KHaridar ban ke aae the

    mujhe kisi ne KHarida nahin ki sasta tha

    siyah chashme ke pichhe se main ne sab dekha

    tamam log samajhte rahe main andha tha

    samajh mein aai hai ab ja ke us ko qadr meri

    usi ne mujh ko KHarida ki jis ne becha tha

    zamin pe aaj talak main pahunch nahin paya

    kisi ne itni bulandi se mujh ko phenka tha

    kuchh aur samjha gaya us ke har ishaare ko

    gawah qatl ka mere 'kamal' gunga tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now