meri nazar ka sharar apna kaam karne laga
mirī nazar kā sharar apnā kaam karne lagā
bujhā charāġh mire dekhne se jalne lagā
zarā sī raushnī uTThī thī mere pahlū se
phir ek saaya mire saath saath chalne lagā
ye jis tarah se dikhātā hai ḳhāl-o-ḳhad mere
mirā vujūd tire aa.ine se Darne lagā
vahī nishāñ jo mujhe khīñchtā thā apnī taraf
maiñ chal paḌā to vo apnī jagah badalne lagā
azal abad ke kināroñ meñ khīñchā-tānī huī
ridā-e-vaqt pe jab merā haath paḌne lagā
'uzair' chhoḌ ke merī ghaḌī kalā.ī par
mirā ye vaqt mire haath se phisalne lagā
meri nazar ka sharar apna kaam karne laga
bujha charagh mere dekhne se jalne laga
zara si raushni uTThi thi mere pahlu se
phir ek saya mere sath sath chalne laga
ye jis tarah se dikhata hai KHal-o-KHad mere
mera wujud tere aaine se Darne laga
wahi nishan jo mujhe khinchta tha apni taraf
main chal paDa to wo apni jagah badalne laga
azal abad ke kinaron mein khincha-tani hui
rida-e-waqt pe jab mera hath paDne laga
'uzair' chhoD ke meri ghaDi kalai par
mera ye waqt mere hath se phisalne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.