meri nazar mein to lafz-e-ulfat KHizan bhi hai aur bahaar bhi hai
meri nazar mein to lafz-e-ulfat KHizan bhi hai aur bahaar bhi hai
Zafar Sambhali
MORE BYZafar Sambhali
mirī nazar meñ to lafz-e-ulfat ḳhizāñ bhī hai aur bahār bhī hai
ye raas aa.e to phuul bhī hai na raas aa.e to ḳhaar bhī hai
badalte mausam kī tarah se jo badal gayā mujh ko apnā kah kar
usī sitam-gar se phir bhī mujh ko ajab to ye hai ki pyaar bhī hai
ye husn bhī hai ajab tamāsha kabhī hañsā.e kabhī rulā.e
yahī diloñ kā sukūn chhīne yahī diloñ kā qarār bhī hai
ye Dar hai mujh ko tirā taġhāful kahīñ na be maut maar Daale
ye be-niyāzī ye jhūTe va.ade tire sitam kā shumār bhī hai
vo jhuuT bole to sach maiñ samjhūñ fareb us kā ḳhulūs jānūñ
jo fitna-gar hai mujhe usī kā na jaane kyoñ e.atibār bhī hai
vo jis ne āñkhoñ ko ashk baḳhshe vo jis ne dil ko malāl baḳhshā
usī ne mujh ko kiyā hai rusvā ki jo mirā rāzdār bhī hai
yahī to hai raunaq-e-gulistāñ na toḌ shāḳhoñ se phuul maalī
inhīñ ke dam se chaman chaman hai inhīñ se rang-e-bahār bhī hai
ye ishq vo rāh-e-pur-ḳhatar hai ki jis se bas ahl-e-dil hī guzreñ
haiñ ḳhaar hī ḳhaar har qadam par magar yahī lāla-zār bhī hai
na aa.egā duur jaane vaalā 'zafar' maiñ ye baat jāntā huuñ
nahīñ hai ummīd vāpsī kī magar mujhe intizār bhī hai
meri nazar mein to lafz-e-ulfat KHizan bhi hai aur bahaar bhi hai
ye ras aae to phul bhi hai na ras aae to KHar bhi hai
badalte mausam ki tarah se jo badal gaya mujh ko apna kah kar
usi sitam-gar se phir bhi mujh ko ajab to ye hai ki pyar bhi hai
ye husn bhi hai ajab tamasha kabhi hansae kabhi rulae
yahi dilon ka sukun chhine yahi dilon ka qarar bhi hai
ye Dar hai mujh ko tera taghaful kahin na be maut mar Dale
ye be-niyazi ye jhuTe wade tere sitam ka shumar bhi hai
wo jhuT bole to sach main samjhun fareb us ka KHulus jaanun
jo fitna-gar hai mujhe usi ka na jaane kyon eatibar bhi hai
wo jis ne aankhon ko ashk baKHshe wo jis ne dil ko malal baKHsha
usi ne mujh ko kiya hai ruswa ki jo mera raazdar bhi hai
yahi to hai raunaq-e-gulistan na toD shaKHon se phul mali
inhin ke dam se chaman chaman hai inhin se rang-e-bahaar bhi hai
ye ishq wo rah-e-pur-KHatar hai ki jis se bas ahl-e-dil hi guzren
hain KHar hi KHar har qadam par magar yahi lala-zar bhi hai
na aaega dur jaane wala 'zafar' main ye baat jaanta hun
nahin hai ummid wapsi ki magar mujhe intizar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.