meri nazar se guzarne wale payam kab tak salam kab tak
meri nazar se guzarne wale payam kab tak salam kab tak
Shaikh Hasan Mushkil Afkari
MORE BYShaikh Hasan Mushkil Afkari
mirī nazar se guzarne vaale payām kab tak salām kab tak
ināyat-e-dilbarī kahāñ tak navāzish-e-ḳhās-o-ām kab tak
ye fursat-e-ehtimām kab tak ye zahmat-e-gām-gām kab tak
ye dil kī duniyā-e-narm-o-nāzuk rahegī mashq-e-ḳhirām kab tak
payām aate raheñge āḳhir asīr-e-ulfat ke naam kab tak
ye iztirāb-e-ġham-e-mohabbat rahegā yuuñ tishna-kām kab tak
ye mahkā mahkā sā kaif-sāmāñ shabāb terā sharāb merī
bharī nazar se pilāne vaale ye zahmat-e-jām-jām kab tak
na merī manzil na merā jaada mazāq-e-fitrat ye kyā tamāshā
ḳhirad kī ye gum-rahī kahāñ tak junūñ kā ye faiz-e-ām kab tak
ye terā raushan sā ek aalam ye merī tārīkī-e-shab-e-ġham
tire hī jalvoñ se pūchhtā huuñ ye sub.h kab tak ye shaam kab tak
mirī tamanna bhī aur kab tak rahīn-e-zauq-e-talab rahegī
mirī mohabbat mirā hī jiinā karegī mujh par harām kab tak
kisī kā le kar bhī naam duniyā kabhī to āḳhir karegī charche
rahegā merā hī naam 'mushkil' zabāñ-zad-e-ḳhās-o-ām kab tak tak
meri nazar se guzarne wale payam kab tak salam kab tak
inayat-e-dilbari kahan tak nawazish-e-KHas-o-am kab tak
ye fursat-e-ehtimam kab tak ye zahmat-e-gam-gam kab tak
ye dil ki duniya-e-narm-o-nazuk rahegi mashq-e-KHiram kab tak
payam aate rahenge aaKHir asir-e-ulfat ke nam kab tak
ye iztirab-e-gham-e-mohabbat rahega yun tishna-kaam kab tak
ye mahka mahka sa kaif-saman shabab tera sharab meri
bhari nazar se pilane wale ye zahmat-e-jam-jam kab tak
na meri manzil na mera jada mazaq-e-fitrat ye kya tamasha
KHirad ki ye gum-rahi kahan tak junun ka ye faiz-e-am kab tak
ye tera raushan sa ek aalam ye meri tariki-e-shab-e-gham
tere hi jalwon se puchhta hun ye subh kab tak ye sham kab tak
meri tamanna bhi aur kab tak rahin-e-zauq-e-talab rahegi
meri mohabbat mera hi jina karegi mujh par haram kab tak
kisi ka le kar bhi nam duniya kabhi to aaKHir karegi charche
rahega mera hi nam 'mushkil' zaban-zad-e-KHas-o-am kab tak tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.