meri nazar se pare mujhse dur kuchh to hai
mirī nazar se pare mujh se duur kuchh to hai
ki ḳhat meñ aap ke bainassutūr kuchh to hai
maiñ apne ishq se māyūs kaise ho jā.ūñ
isī diye se mire dil meñ nuur kuchh to hai
maiñ apne aap se nazreñ churā rahā huuñ kyoñ
ki is meñ rāz-e-dil-e-nā-subūr kuchh to hai
tirā qasīda nahīñ paḌh rahī hai yuuñ duniyā
tire vajūd ke andar zarūr kuchh to hai
ye raaz aap kī āñkheñ bayān kartī haiñ
ki mujh se aap ko ranjish huzūr kuchh to hai
ḳhudā kī zaat se vāqif jo kar rahā hai mujhe
mirā shu.ūr hai yā lā-shu.ūr kuchh to hai
har ek shaḳhs se katrā rahā huuñ ai 'merāj'
ye zo'm hai ki anā yā ġhurūr kuchh to hai
meri nazar se pare mujh se dur kuchh to hai
ki KHat mein aap ke bainassutur kuchh to hai
main apne ishq se mayus kaise ho jaun
isi diye se mere dil mein nur kuchh to hai
main apne aap se nazren chura raha hun kyon
ki is mein raaz-e-dil-e-na-subur kuchh to hai
tera qasida nahin paDh rahi hai yun duniya
tere wajud ke andar zarur kuchh to hai
ye raaz aap ki aankhen bayan karti hain
ki mujh se aap ko ranjish huzur kuchh to hai
KHuda ki zat se waqif jo kar raha hai mujhe
mera shuur hai ya la-shuur kuchh to hai
har ek shaKHs se katra raha hun ai 'meraj'
ye zo'm hai ki ana ya ghurur kuchh to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.