meri nigah ko paiham ye justuju kya hai
meri nigah ko paiham ye justuju kya hai
Syed Mehmood Hasan Qaisar Amrohvi
MORE BYSyed Mehmood Hasan Qaisar Amrohvi
mirī nigāh ko paiham ye justujū kyā hai
ye māvarā-e-hijābāt-e-rang-o-bū kyā hai
na pūchh rāz-e-darūn-e-nigār-ḳhāna-e-dahr
kise ḳhabar hai ki maiñ kyā huuñ aur tū kyā hai
ye husn-o-ishq meñ kaisā hai jazb-e-nā-ma.alūm
mire havās se ye rabt-e-rang-o-bū kyā hai
vo ḳhūn-e-dil hai ragoñ meñ jo khaultā hī rahe
jo ashk ban ke Tapak jaa.e vo lahū kyā hai
shahīd-e-ġhairat-e-insāniyat ke zauq se pūchh
lahū bahā ke jo paa.ī vo aabrū kyā hai
namāz vo hai jo mehrāb-e-teġh meñ ho adā
na ho jo ḳhuun ke dariyā meñ vo vuzū kyā hai
ho jis se tarbiyat-e-zauq chāhiye vo suḳhan
jo talḳh kaam banā de vo guftugū kyā hai
kabhī to chāhiye fikr-e-nazāfat-e-bātin
riyā ke said ye zāhir kī shust-o-shū kyā hai
tire huzūr meñ be-mā.egoñ kā kyā tohfa
matā.a-e-jān hai kyā shah-rag-e-gulo kyā hai
meri nigah ko paiham ye justuju kya hai
ye mawara-e-hijabaat-e-rang-o-bu kya hai
na puchh raaz-e-darun-e-nigar-KHana-e-dahr
kise KHabar hai ki main kya hun aur tu kya hai
ye husn-o-ishq mein kaisa hai jazb-e-na-malum
mere hawas se ye rabt-e-rang-o-bu kya hai
wo KHun-e-dil hai ragon mein jo khaulta hi rahe
jo ashk ban ke Tapak jae wo lahu kya hai
shahid-e-ghairat-e-insaniyat ke zauq se puchh
lahu baha ke jo pai wo aabru kya hai
namaz wo hai jo mehrab-e-tegh mein ho ada
na ho jo KHun ke dariya mein wo wuzu kya hai
ho jis se tarbiyat-e-zauq chahiye wo suKHan
jo talKH kaam bana de wo guftugu kya hai
kabhi to chahiye fikr-e-nazafat-e-baatin
riya ke said ye zahir ki shust-o-shu kya hai
tere huzur mein be-maegon ka kya tohfa
mataa-e-jaan hai kya shah-rag-e-gulo kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.