meri samt lutf ki ek nazar nahin kar saka

meri samt lutf ki ek nazar nahin kar saka
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
mirī samt lutf kī ik nazar nahīñ kar sakā
koī mo.ajiza mirā jādūgar nahīñ kar sakā
mire ḳhāl-o-ḳhad na badal sakā tirā aa.ina
mujhe ḳhūb-rū koī naqsh-gar nahīñ kar sakā
mire sāmne mire sab sipāhī kaTe magar
maiñ qabīle vāloñ ko kuchh ḳhabar nahīñ kar sakā
mujhe manziloñ kī talāsh thī so maiñ chal paḌā
tirā intizār maiñ umr-bhar nahīñ kar sakā
tire qurb kā jo ḳhumār hai use maiñ to kyā
use aaj tak koī muḳhtasar nahīñ kar sakā
mirī umr-bhar kī riyāzateñ huiiñ rā.egāñ
mujhe āshkār tū vaqt par nahīñ kar sakā
koī falsafī nahīñ boltā tire sāmne
tirā sāmnā koī nāmvar nahīñ kar sakā
mujhe ḳhāmushī kī atā huiiñ ka.ī ne.amateñ
isī vāste bhī maiñ shor shar nahīñ kar sakā
mire paaoñ bāñdhe haiñ silsila-e-ḳhayāl ne
tirī samt jān-e-suḳhan safar nahīñ kar sakā
maiñ adū se koī gila karūñ bhī to kis liye
ki maiñ dostoñ ke bhī dil meñ ghar nahīñ kar sakā
meri samt lutf ki ek nazar nahin kar saka
koi moajiza mera jadugar nahin kar saka
mere KHal-o-KHad na badal saka tera aaina
mujhe KHub-ru koi naqsh-gar nahin kar saka
mere samne mere sab sipahi kaTe magar
main qabile walon ko kuchh KHabar nahin kar saka
mujhe manzilon ki talash thi so main chal paDa
tera intizar main umr-bhar nahin kar saka
tere qurb ka jo KHumar hai use main to kya
use aaj tak koi muKHtasar nahin kar saka
meri umr-bhar ki riyazaten huin raegan
mujhe aashkar tu waqt par nahin kar saka
koi falsafi nahin bolta tere samne
tera samna koi namwar nahin kar saka
mujhe KHamushi ki ata huin kai neamaten
isi waste bhi main shor shar nahin kar saka
mere paon bandhe hain silsila-e-KHayal ne
teri samt jaan-e-suKHan safar nahin kar saka
main adu se koi gila karun bhi to kis liye
ki main doston ke bhi dil mein ghar nahin kar saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.