meri shikast ka aaghaz kaamraniyon se
mirī shikast kā āġhāz kāmrāniyoñ se
maiñ jang jiitā muqaddar kī mehrbāniyoñ se
maiñ der tak yahīñ sāhil pe baiThā rahtā huuñ
mirā mukālima hotā hai niile pāniyoñ se
kabhī kabhī ye khañDar ḳhud mujhe batāte haiñ
ki merā koī ta'alluq hai in kahāniyoñ se
har ek din nayā mahshar uThā ke laatā huuñ
maiñ tang aa ke qayāmat kī in nishāniyoñ se
vahī ki jis kī virāsat kā da.avedār thā maiñ
jhagaḌ rahā huuñ usī saltanat ke bāniyoñ se
nazar-navāz bahāroñ kā giit sunte hī
daraḳht jhūmne lagte haiñ shādmāniyoñ se
chhupā ke rakkhūñ kahāñ tere iltifāt ko maiñ
bachūñ to kaise bachūñ itnī be-dhiyaniyoñ se
hilā ke rakh diyā maujoñ kī sar-kashī ne use
ulajhtā būḌhā samundar kahāñ javāniyoñ se
meri shikast ka aaghaz kaamraniyon se
main jang jita muqaddar ki mehrbaniyon se
main der tak yahin sahil pe baiTha rahta hun
mera mukalima hota hai nile paniyon se
kabhi kabhi ye khanDar KHud mujhe batate hain
ki mera koi ta'alluq hai in kahaniyon se
har ek din naya mahshar uTha ke lata hun
main tang aa ke qayamat ki in nishaniyon se
wahi ki jis ki wirasat ka dawedar tha main
jhagaD raha hun usi saltanat ke baniyon se
nazar-nawaz bahaaron ka git sunte hi
daraKHt jhumne lagte hain shadmaniyon se
chhupa ke rakkhun kahan tere iltifat ko main
bachun to kaise bachun itni be-dhiyaniyon se
hila ke rakh diya maujon ki sar-kashi ne use
ulajhta buDha samundar kahan jawaniyon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.