meri shikast ka bais ye iftiKhaar bhi tha
meri shikast ka bais ye iftiKhaar bhi tha
Rahbar Tabani Dariyabadi
MORE BYRahbar Tabani Dariyabadi
mirī shikast kā baa.is ye iftiḳhār bhī thā
jo thā harīf vahī apnā rāzdār bhī thā
ye aur baat tavajjoh na tum ne dī varna
tumhāre chāhne vāloñ meñ ḳhāksār bhī thā
mile the mujh se ba-zāhir baḌe tapāk se log
tabī.atoñ meñ ba-bātin magar ġhubār bhī thā
ga.e the tum bhī to us but ke ḳhair-maqdam meñ
magar tumhārā kisī mad meñ kuchh shumār bhī thā
tamām umr asīroñ kī tarah jiite rahe
hamāre gird yaqīnan koī hisār bhī thā
samā.atoñ ke tajassus se ye huā mahsūs
hamārī tūl-kalāmī meñ iḳhtisār bhī thā
hayāt ke sabhī shoboñ meñ dastaras thī use
baḌā zahīn thā daanā thā burdbār bhī thā
isī liye use sauñpā gayā thā kār-e-jahāñ
kisī ko us pe bharosā thā e.atibār bhī thī
tire sukūt pe dil kī ajab thī kaifiyyat
vo pur-sukūn bhī thā aur be-qarār bhī thā
baḌe farishta-sifat the tumhāre shahr ke log
diloñ meñ dard mizājoñ meñ inkisār bhī thā
ḳhush aa ga.ī hai ai rahbar supurdagī varna
kamīn-gāheñ bhī thiiñ jāda-e-farār bhī thā
meri shikast ka bais ye iftiKHar bhi tha
jo tha harif wahi apna raazdar bhi tha
ye aur baat tawajjoh na tum ne di warna
tumhaare chahne walon mein KHaksar bhi tha
mile the mujh se ba-zahir baDe tapak se log
tabiaton mein ba-baatin magar ghubar bhi tha
gae the tum bhi to us but ke KHair-maqdam mein
magar tumhaara kisi mad mein kuchh shumar bhi tha
tamam umr asiron ki tarah jite rahe
hamare gird yaqinan koi hisar bhi tha
samaaton ke tajassus se ye hua mahsus
hamari tul-kalami mein iKHtisar bhi tha
hayat ke sabhi shobon mein dastaras thi use
baDa zahin tha dana tha burdbar bhi tha
isi liye use saunpa gaya tha kar-e-jahan
kisi ko us pe bharosa tha eatibar bhi thi
tere sukut pe dil ki ajab thi kaifiyyat
wo pur-sukun bhi tha aur be-qarar bhi tha
baDe farishta-sifat the tumhaare shahr ke log
dilon mein dard mizajon mein inkisar bhi tha
KHush aa gai hai ai rahbar supurdagi warna
kamin-gahen bhi thin jada-e-farar bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.