meri tanhai banTte hain waraq
mirī tanhā.ī bāñTte haiñ varaq
haath kā lams māñgte haiñ varaq
maiñ ki ḳhāmosh paḌhne lagtī huuñ
kuchh na kuchh jaise bolte haiñ varaq
ho chukā hai jo ilm ab nāyāb
aur jo phailegā jānte haiñ varaq
sochtā hai ye zehn kyā kyā kuchh
be-sabab ham ulaT rahe haiñ varaq
hosh-mandī se Diary likhnā
donoñ jānib se dekhte haiñ varaq
ruuh ko do-jahāñ kī rāhat deñ
rehl par rāhbar rakheñ haiñ varaq
meri tanhai banTte hain waraq
hath ka lams mangte hain waraq
main ki KHamosh paDhne lagti hun
kuchh na kuchh jaise bolte hain waraq
ho chuka hai jo ilm ab nayab
aur jo phailega jaante hain waraq
sochta hai ye zehn kya kya kuchh
be-sabab hum ulaT rahe hain waraq
hosh-mandi se Diary likhna
donon jaanib se dekhte hain waraq
ruh ko do-jahan ki rahat den
rehl par rahbar rakhen hain waraq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.