meri taraf teri uThti nigah thoDi hai
mirī taraf tirī uThtī nigāh thoḌī hai
tire gurez meñ ab ishtibāh thoḌī hai
charāġh jalte raheñge havā baġhaur ye sun
hunar pe tujh ko abhī dastgāh thoḌī hai
hai ek ishq se aamez rāste kā safar
zarā sī duur ba-tarz-e-nibāh thoḌī hai
jazā-sazā se kahīñ māvarā hai merā amal
ye kār-e-ishq musalsal gunāh thoḌī hai
koī makīn nahīñ kar sake sukūnat-e-ḳhās
hamārā dil abhī aisā tabāh thoḌī hai
havā.eñ aur shajar aur tā.irān-e-ḳhayāl
ik āsmān hamārā gavāh thoḌī hai
ab us ke ba.ad safar pārak-e-tahayyur hai
batā rahā huuñ tumheñ intibāh thoḌī hai
meri taraf teri uThti nigah thoDi hai
tere gurez mein ab ishtibah thoDi hai
charagh jalte rahenge hawa baghaur ye sun
hunar pe tujh ko abhi dastgah thoDi hai
hai ek ishq se aamez raste ka safar
zara si dur ba-tarz-e-nibah thoDi hai
jaza-saza se kahin mawara hai mera amal
ye kar-e-ishq musalsal gunah thoDi hai
koi makin nahin kar sake sukunat-e-KHas
hamara dil abhi aisa tabah thoDi hai
hawaen aur shajar aur tairan-e-KHayal
ek aasman hamara gawah thoDi hai
ab us ke baad safar parak-e-tahayyur hai
bata raha hun tumhein intibah thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.