meri ujDi jawani ka hai bas itna nishan baqi
mirī ujḌī javānī kā hai bas itnā nishāñ baaqī
nasheman jal gayā lekin abhī tak hai dhuāñ baaqī
ḳhudā jaane sazā ham ko milī hai kin gunāhoñ kī
ki apne mulk meñ hī ab nahīñ apnī zabāñ baaqī
makīñ jitne bhī haiñ sab mehmāñ do-chār din ke haiñ
rahegā is zamāne meñ faqat vo lā-makāñ baaqī
hayāt-o-maut kī har āzmā.ish ḳhatm hai to kyā
abhī roz-e-qayāmat kā bhī hai ik imtihāñ baaqī
'naresh' ehsās kā yuuñ munjamid honā ma.āz-allāh
na fariyād-o-fuġhāñ baaqī na dil baaqī na jaañ baaqī
meri ujDi jawani ka hai bas itna nishan baqi
nasheman jal gaya lekin abhi tak hai dhuan baqi
KHuda jaane saza hum ko mili hai kin gunahon ki
ki apne mulk mein hi ab nahin apni zaban baqi
makin jitne bhi hain sab mehman do-chaar din ke hain
rahega is zamane mein faqat wo la-makan baqi
hayat-o-maut ki har aazmaish KHatm hai to kya
abhi roz-e-qayamat ka bhi hai ek imtihan baqi
'naresh' ehsas ka yun munjamid hona maaz-allah
na fariyaad-o-fughan baqi na dil baqi na jaan baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.