meri umr-e-rawan hai aur main hun
mirī umr-e-ravāñ hai aur maiñ huuñ
ye jins-e-rā.egāñ hai aur maiñ huuñ
ġham-e-gum-gashtagāñ hai aur maiñ huuñ
ye dard-e-jāvedāñ hai aur maiñ huuñ
kahāñ ho kārvāñ vaalo kahāñ ho
talāsh-e-kārvāñ hai aur maiñ huuñ
tasavvur meñ bahāreñ haiñ gul-afshāñ
nigāhoñ meñ ḳhizāñ hai aur maiñ huuñ
zarā āvāz de ai daur-e-māzī
tirā dard-e-nihāñ hai aur maiñ huuñ
faqat merī ḳhamoshī hai ġhazal-ḳhvāñ
sukūt-e-bekarāñ hai aur maiñ huuñ
chaman vaalo ḳhabar bhī hai tumheñ kuchh
ki yād-e-āshiyāñ hai aur maiñ huuñ
mirī taqdīr kāñTe chun rahī hai
bahār-e-bostāñ hai aur maiñ huuñ
mire naġhmāt par ḳhush hone vaale
mirā soz-e-nihāñ hai aur maiñ huuñ
tarastī haiñ ḳharīdāroñ ko nazreñ
lab-e-gauhar-fashāñ hai aur maiñ huuñ
maiñ apne aap ko gum kar chukā huuñ
ye ehsās-e-ziyāñ hai aur maiñ huuñ
qarīb-e-gulisitāñ phirtā huuñ lekin
talāsh-e-gulsitāñ hai aur maiñ huuñ
mire ash.ār kī rūdād 'āzād'
mirā ḳhūn-e-ravāñ hai aur maiñ huuñ
meri umr-e-rawan hai aur main hun
ye jins-e-raegan hai aur main hun
gham-e-gum-gashtagan hai aur main hun
ye dard-e-jawedan hai aur main hun
kahan ho karwan walo kahan ho
talash-e-karwan hai aur main hun
tasawwur mein bahaaren hain gul-afshan
nigahon mein KHizan hai aur main hun
zara aawaz de ai daur-e-mazi
tera dard-e-nihan hai aur main hun
faqat meri KHamoshi hai ghazal-KHwan
sukut-e-bekaran hai aur main hun
chaman walo KHabar bhi hai tumhein kuchh
ki yaad-e-ashiyan hai aur main hun
meri taqdir kanTe chun rahi hai
bahaar-e-bostan hai aur main hun
mere naghmat par KHush hone wale
mera soz-e-nihan hai aur main hun
tarasti hain KHaridaron ko nazren
lab-e-gauhar-fashan hai aur main hun
main apne aap ko gum kar chuka hun
ye ehsas-e-ziyan hai aur main hun
qarib-e-gulisitan phirta hun lekin
talash-e-gulsitan hai aur main hun
mere ashaar ki rudad 'azad'
mera KHun-e-rawan hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.