meri wafa ke falak par gae hain afsane
meri wafa ke falak par gae hain afsane
Mirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
MORE BYMirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
mirī vafā ke falak par ga.e haiñ afsāne
zamīn vaale haqīqat na merī pahchāne
tirī talāsh-o-tajassus kā mashġhala be-sūd
ki jab tak aadmī hastī na apnī pahchāne
ba-zauq-e-dīd nigāhoñ meñ dam hai ai saaqī
idhar bhī aaj chhalakte hue ye paimāne
junūñ-tarāz na hotī agar nigāh tirī
to hote kis tarah ābād phir ye vīrāne
samajh rahe ho jinheñ tum bhī aur zamāna bhī
vo vāqi'āt haiñ phir aaj mujh ko duhrāne
ye aur baat hai 'zāhir' ki ham gila na kareñ
mizāj-e-husn ko muddat huī hai pahchāne
meri wafa ke falak par gae hain afsane
zamin wale haqiqat na meri pahchane
teri talash-o-tajassus ka mashghala be-sud
ki jab tak aadmi hasti na apni pahchane
ba-zauq-e-did nigahon mein dam hai ai saqi
idhar bhi aaj chhalakte hue ye paimane
junun-taraaz na hoti agar nigah teri
to hote kis tarah aabaad phir ye virane
samajh rahe ho jinhen tum bhi aur zamana bhi
wo waqi'at hain phir aaj mujh ko duhrane
ye aur baat hai 'zahir' ki hum gila na karen
mizaj-e-husn ko muddat hui hai pahchane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.