meri wafaon ka mujhe wo yun hisab de gaya
mirī vafāoñ kā mujhe vo yuuñ hisāb de gayā
mire samundaroñ ko chhīn kar sarāb de gayā
tujhe ḳhabar hai terā baap kitnā bevaqūf thā
ki jhurriyāñ ḳharīd kar tujhe shabāb de gayā
anā-parast maiñ bhī thā magar ye ishq hī to thā
ki tujh ko ḳhaar ke bajā.e maiñ gulāb de gayā
visāl aur kamāl kā ye silsila rukā huā
vo nār-e-intizār kā mujhe azaab de gayā
kitāb-e-zīst ke sunahre baab ko miTā diyā
mujhe tavīl hijratoñ kā ik nisāb de gayā
maiñ ishq kī zabān meñ kahūñ to kyā kahūñ use
mirā sukūn chhīn kar jo iztirāb de gayā
tirā ilaaj 'kāshif' ab sivā.e sabr kuchh nahīñ
mire pate pe andalīb ye javāb de gayā
meri wafaon ka mujhe wo yun hisab de gaya
mere samundaron ko chhin kar sarab de gaya
tujhe KHabar hai tera bap kitna bewaquf tha
ki jhurriyan KHarid kar tujhe shabab de gaya
ana-parast main bhi tha magar ye ishq hi to tha
ki tujh ko KHar ke bajae main gulab de gaya
visal aur kamal ka ye silsila ruka hua
wo nar-e-intizar ka mujhe azab de gaya
kitab-e-zist ke sunahre bab ko miTa diya
mujhe tawil hijraton ka ek nisab de gaya
main ishq ki zaban mein kahun to kya kahun use
mera sukun chhin kar jo iztirab de gaya
tera ilaj 'kashif' ab siwae sabr kuchh nahin
mere pate pe andalib ye jawab de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.