meri zaban khuli bhi to kya saza dega
mirī zabān khulī bhī to kyā sazā degā
bahut huā to mujhe bazm se uThā degā
khaḌā huā huuñ misāl-e-giyāh tūfāñ meñ
koī daraḳht nahīñ huuñ ki vo girā degā
jahāñ se na.ara-e-mastāñ vahāñ se shahnā.ī
dabā ye shor to naġhma hameñ sulā degā
balā se raah ko roke khaḌā hai ik majma.a
koī to bhiiḌ se bachne kā rāsta degā
kise yaqīn rahā hai ki hākim-e-daurāñ
mirī vafā kā mire daur ko sila degā
bahut se bāġhī-o-sarkash haiñ qaidiyoñ meñ 'hasan'
koī to jaan pe khelegā sar kaTā degā
meri zaban khuli bhi to kya saza dega
bahut hua to mujhe bazm se uTha dega
khaDa hua hun misal-e-giyah tufan mein
koi daraKHt nahin hun ki wo gira dega
jahan se nara-e-mastan wahan se shahnai
daba ye shor to naghma hamein sula dega
bala se rah ko roke khaDa hai ek majma
koi to bhiD se bachne ka rasta dega
kise yaqin raha hai ki hakim-e-dauran
meri wafa ka mere daur ko sila dega
bahut se baghi-o-sarkash hain qaidiyon mein 'hasan'
koi to jaan pe khelega sar kaTa dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.