meri zindagi ka ye haal tha yahi shakl-e-rah-rawi rahi
meri zindagi ka ye haal tha yahi shakl-e-rah-rawi rahi
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
mirī zindagī kā ye haal thā yahī shakl-e-rāh-ravī rahī
ki na ġham kā ġham hī rahā kabhī na ḳhushī kī mujh ko ḳhushī rahī
na vo parda-dār hai raaz meñ na kisī kī parda-dārī rahī
jo paḌe the parde sab uTh ga.e magar ab bhī jalvagarī rahī
shab-e-hijr guzrī hai kis tarah tumheñ kyā sunā.ūñ ye mājrā
maiñ ajal ke saa.e meñ thā khaḌā mirī sar pe maut khaḌī rahī
tirī yaad meñ bahut hīla-jū yūñhī guzre shām-o-sahar mire
kabhī din meñ aah se kaam thā kabhī shab meñ nauhagarī rahī
na kisī ke dushman-e-jāñ hue na kisī ko dushman-e-jāñ kiyā
yahī baat thī ki jo ġhair se bhī hamesha apnī banī rahī
mirī hasrateñ mire hausle sab hī jal ke ḳhaak meñ mil ga.e
ye kisī kī dī huī aag thī jo lagī to dil meñ lagī rahī
vo ghaTā kā zor kahāñ gayā shab-e-māh kyā huī sāqiyā
ki na lutf-e-bazm-e-surūr hai na bahār-e-bāda-kashī rahī
ye navāzisheñ tirī bāġhbāñ ki kahīñ kā maiñ nahīñ rah gayā
na vo ranj-e-daur-e-ḳhizāñ rahā na vo fasl-e-gul kī ḳhushī rahī
mirī be-kasī se jahān meñ na huā bhī kuchh to bahut huā
vahī bebasī to rahī magar tirī yaad dil meñ basī rahī
ye savāl kyuuñ ye ḳhayāl kyā hai vafā to is kā ma.aal kyā
yahī zikr vird-e-zabāñ rahā yahī fikr dil ko lagī rahī
na mujhī ko apnā pata milā na tujhī ko DhūñDh ke pā sakā
na mirī ḳhabar na tirī ḳhabar 'ajīb ek be-ḳhabarī rahī
ye maqām-e-shukr hai be-gumāñ rahā ḳhush hī 'ḳhushtar'-e-ḳhush-bayāñ
na 'atā vujūd meñ thī kasar na karam kī us ke kamī rahī
meri zindagi ka ye haal tha yahi shakl-e-rah-rawi rahi
ki na gham ka gham hi raha kabhi na KHushi ki mujh ko KHushi rahi
na wo parda-dar hai raaz mein na kisi ki parda-dari rahi
jo paDe the parde sab uTh gae magar ab bhi jalwagari rahi
shab-e-hijr guzri hai kis tarah tumhein kya sunaun ye majra
main ajal ke sae mein tha khaDa meri sar pe maut khaDi rahi
teri yaad mein bahut hila-ju yunhi guzre sham-o-sahar mere
kabhi din mein aah se kaam tha kabhi shab mein nauhagari rahi
na kisi ke dushman-e-jaan hue na kisi ko dushman-e-jaan kiya
yahi baat thi ki jo ghair se bhi hamesha apni bani rahi
meri hasraten mere hausle sab hi jal ke KHak mein mil gae
ye kisi ki di hui aag thi jo lagi to dil mein lagi rahi
wo ghaTa ka zor kahan gaya shab-e-mah kya hui saqiya
ki na lutf-e-bazm-e-surur hai na bahaar-e-baada-kashi rahi
ye nawazishen teri baghban ki kahin ka main nahin rah gaya
na wo ranj-e-daur-e-KHizan raha na wo fasl-e-gul ki KHushi rahi
meri be-kasi se jahan mein na hua bhi kuchh to bahut hua
wahi bebasi to rahi magar teri yaad dil mein basi rahi
ye sawal kyun ye KHayal kya hai wafa to is ka maal kya
yahi zikr wird-e-zaban raha yahi fikr dil ko lagi rahi
na mujhi ko apna pata mila na tujhi ko DhunDh ke pa saka
na meri KHabar na teri KHabar 'ajib ek be-KHabari rahi
ye maqam-e-shukr hai be-guman raha KHush hi 'KHushtar'-e-KHush-bayan
na 'ata wujud mein thi kasar na karam ki us ke kami rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.