meri zindagi ki kitab mein yahi naqsh hain mah-o-sal ke
mirī zindagī kī kitāb meñ yahī naqsh haiñ mah-o-sāl ke
vo shagufta rang 'urūj ke ye shikasta rang zavāl ke
tire husn se mire 'ishq tak ye jo nisbatoñ ke haiñ silsile
ye shajar haiñ ek hī baaġh ke ye samar haiñ ek hī Daal ke
maiñ sunā.ūñ kyā koī dāstāñ ki subūt-e-ġham bhī nahīñ rahā
mire 'ishq naame ko le gayā koī tāq-e-jāñ se nikāl ke
mire baaġh meñ vo gulāb thā ki mahak rahā thā chaman chaman
vo jo gum huā to bikhar ga.e sabhī rang huzn-o-malāl ke
koī ḳhvāb hai na ḳhayāl hai koī aarzū hai na justujū
ye kahāñ hai lā ke biThā diyā mujhe qaid-e-jāñ se nikāl ke
maiñ bhaTak rahā thā jihat jihat tire naqsh-e-pā kī talāsh meñ
mire saath saath chalā kiye ka.ī 'aks ḳhvāb-o-ḳhayāl ke
mujhe shāhrāh-e-hayāt par ka.ī aise ghar bhī mile 'ziyā'
jahāñ qumqume na jale kabhī na vo hijr ke na visāl ke
meri zindagi ki kitab mein yahi naqsh hain mah-o-sal ke
wo shagufta rang 'uruj ke ye shikasta rang zawal ke
tere husn se mere 'ishq tak ye jo nisbaton ke hain silsile
ye shajar hain ek hi bagh ke ye samar hain ek hi Dal ke
main sunaun kya koi dastan ki subut-e-gham bhi nahin raha
mere 'ishq name ko le gaya koi taq-e-jaan se nikal ke
mere bagh mein wo gulab tha ki mahak raha tha chaman chaman
wo jo gum hua to bikhar gae sabhi rang huzn-o-malal ke
koi KHwab hai na KHayal hai koi aarzu hai na justuju
ye kahan hai la ke biTha diya mujhe qaid-e-jaan se nikal ke
main bhaTak raha tha jihat jihat tere naqsh-e-pa ki talash mein
mere sath sath chala kiye kai 'aks KHwab-o-KHayal ke
mujhe shahrah-e-hayat par kai aise ghar bhi mile 'ziya'
jahan qumqume na jale kabhi na wo hijr ke na visal ke
- Book : Pas-e-Gard-e-Safar (Pg. 35)
- Author : Zia Farooqui
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.