meri zindagi ki sabil par kahin Khaar tha kahin phul tha
meri zindagi ki sabil par kahin Khaar tha kahin phul tha
Tasleem Niyazi
MORE BYTasleem Niyazi
mirī zindagī kī sabīl par kahīñ ḳhaar thā kahīñ phuul thā
kabhī chal ke ruknā fuzūl thā kabhī ruk ke chalnā fuzūl thā
tahī-dast maiñ hī khaḌā rahā tirī rah pe varna ai zindagī
kisī haath meñ koī qadr thī kisī sar pe koī usuul thā
ghane bargadoñ kī latāfatoñ pe zavābitoñ kī fasīl thī
mirā zaḳhm jis pe thā munkashif koī ḳhār-dār babūl thā
tire saath jo kaTī zindagī vo tirī hī tarah sapāT thī
na ġham-e-shikast-o-tazī thā na lihāz-e-fat.h-o-husūl thā
mirā din thā tujh pe ayaañ ayaañ tirī shab thī mujh pe khulī khulī
tirā qurb mujh ko aziiz thā mirā hijr tujh ko qubūl thā
maiñ bikhar bikhar ke simaT gayā tū simaT simaT ke bikhar ga.ī
mire pīchhe tū bhī thī muzmahil tire pīchhe maiñ bhī malūl thā
meri zindagi ki sabil par kahin KHar tha kahin phul tha
kabhi chal ke rukna fuzul tha kabhi ruk ke chalna fuzul tha
tahi-dast main hi khaDa raha teri rah pe warna ai zindagi
kisi hath mein koi qadr thi kisi sar pe koi usul tha
ghane bargadon ki latafaton pe zawabiton ki fasil thi
mera zaKHm jis pe tha munkashif koi KHar-dar babul tha
tere sath jo kaTi zindagi wo teri hi tarah sapaT thi
na gham-e-shikast-o-tazi tha na lihaz-e-fath-o-husul tha
mera din tha tujh pe ayan ayan teri shab thi mujh pe khuli khuli
tera qurb mujh ko aziz tha mera hijr tujh ko qubul tha
main bikhar bikhar ke simaT gaya tu simaT simaT ke bikhar gai
mere pichhe tu bhi thi muzmahil tere pichhe main bhi malul tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.