meri zindagi ki tu zindagi so qarib se mera haal dekh
meri zindagi ki tu zindagi so qarib se mera haal dekh
Priyamvada Ilhan
MORE BYPriyamvada Ilhan
mirī zindagī kī tū zindagī so qarīb se mirā haal dekh
jo kabhī kisī se huā nahīñ vo kiyā hai maiñ ne kamāl dekh
ye mohabbateñ bhī na.ī nahīñ na vo hasrateñ hī javāñ rahīñ
hai umiid terī magar kahīñ so khile khile haiñ ye gaal dekh
tujhe go na merā ḳhayāl hai nahīñ mujh ko koī malāl hai
tire ishq meñ tirī chaah meñ maiñ banī huuñ kaisī misāl dekh
hai ajab maqām pe zindagī jo milā sahī na milā sahī
na kamāl meñ hai koī ḳhushī na sabab hai ġham kā zavāl dekh
mirā haal go hai ḳharāb abhī tū na fikr kar mire haal kī
ki ḳhizāñ meñ bū hai bahār kī mire haal meñ tū jamāl dekh
nahīñ an-kahī koī baat hai na sabab koī jo tū aa sake
tū magar kabhī kisī yaad se zarā jhāñk kar mirā haal dekh
meri zindagi ki tu zindagi so qarib se mera haal dekh
jo kabhi kisi se hua nahin wo kiya hai main ne kamal dekh
ye mohabbaten bhi nai nahin na wo hasraten hi jawan rahin
hai umid teri magar kahin so khile khile hain ye gal dekh
tujhe go na mera KHayal hai nahin mujh ko koi malal hai
tere ishq mein teri chah mein main bani hun kaisi misal dekh
hai ajab maqam pe zindagi jo mila sahi na mila sahi
na kamal mein hai koi KHushi na sabab hai gham ka zawal dekh
mera haal go hai KHarab abhi tu na fikr kar mere haal ki
ki KHizan mein bu hai bahaar ki mere haal mein tu jamal dekh
nahin an-kahi koi baat hai na sabab koi jo tu aa sake
tu magar kabhi kisi yaad se zara jhank kar mera haal dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.