bazar-e-husn-o-shauq mein kamtar nahin hun main
bāzār-e-husn-o-shauq meñ kamtar nahīñ huuñ maiñ
chhū kar mujhe bhī dekh ki ḳhanjar nahīñ huuñ maiñ
jis mai-kade meñ jaam uchhāle nahīñ ga.e
us mai-kade meñ hone se behtar nahīñ huuñ maiñ
bāñdhī ga.ī hai pair meñ zanjīr kis liye
maiñ to huuñ ik ḳhayāl ki paikar nahīñ huuñ maiñ
taaza rahūñgā qalb-o-ḳhirad meñ har ek vaqt
jis ko bulā sakoge vo manzar nahīñ huuñ maiñ
ab bhī haiñ kuchh naqāb haTāne haiñ jo mujhe
dār-o-rasan ke qad ke barābar nahīñ huuñ maiñ
ghabrā ga.e ho dekh ke vus.at mirī ki maiñ
bas ek aabjū huuñ samundar nahīñ huuñ maiñ
dekho mujhe ki mujh meñ haiñ raushan jahāñ ke raaz
raste meñ jo paḌā hai vo patthar nahīñ huuñ maiñ
haiñ intizār meñ sabhī 'rāsiḳh' yahāñ pe kyoñ
niklegā kaise chāñd jo chhat par nahīñ huuñ maiñ
bazar-e-husn-o-shauq mein kamtar nahin hun main
chhu kar mujhe bhi dekh ki KHanjar nahin hun main
jis mai-kade mein jam uchhaale nahin gae
us mai-kade mein hone se behtar nahin hun main
bandhi gai hai pair mein zanjir kis liye
main to hun ek KHayal ki paikar nahin hun main
taza rahunga qalb-o-KHirad mein har ek waqt
jis ko bula sakoge wo manzar nahin hun main
ab bhi hain kuchh naqab haTane hain jo mujhe
dar-o-rasan ke qad ke barabar nahin hun main
ghabra gae ho dekh ke wusat meri ki main
bas ek aabju hun samundar nahin hun main
dekho mujhe ki mujh mein hain raushan jahan ke raaz
raste mein jo paDa hai wo patthar nahin hun main
hain intizar mein sabhi 'rasiKH' yahan pe kyon
niklega kaise chand jo chhat par nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.