misal apni baDi be-nazir rakhta hun
misāl apnī baḌī be-nazīr rakhtā huuñ
maiñ apne aap ko ḳhud kā asiir rakhtā huuñ
yuuñ apne aap ko logo haqīr rakhtā huuñ
ḳhudā gavāh ki raushan zamīr rakhtā huuñ
unheñ yaqīn hai merī kamāñ meñ rahte haiñ
achūk ilm ke tarkash meñ tiir rakhtā huuñ
maiñ zāhira meñ huuñ har chand muflis-o-nādār
dil-o-nigāh ko lekin asiir rakhtā huuñ
na jaane kaun sī manzil pe maut aa jaa.e
ḳhudā hī jaane kahāñ kā ḳhamīr rakhtā huuñ
dil-o-dimāġh se kartā huuñ faisle apne
maiñ apne azm ko 'mahmūd' miir rakhtā huuñ
misal apni baDi be-nazir rakhta hun
main apne aap ko KHud ka asir rakhta hun
yun apne aap ko logo haqir rakhta hun
KHuda gawah ki raushan zamir rakhta hun
unhen yaqin hai meri kaman mein rahte hain
achuk ilm ke tarkash mein tir rakhta hun
main zahira mein hun har chand muflis-o-nadar
dil-o-nigah ko lekin asir rakhta hun
na jaane kaun si manzil pe maut aa jae
KHuda hi jaane kahan ka KHamir rakhta hun
dil-o-dimagh se karta hun faisle apne
main apne azm ko 'mahmud' mir rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.