misal-e-shabnam gul aazma rahi hai mujhe
misāl-e-shabnam gul aazmā rahī hai mujhe
tire ḳhayāl kī ḳhushbū bulā rahī hai mujhe
nigah meñ samt girah meñ bhī zar rahā lekin
mirī malāl-nigāhī miTā rahī hai mujhe
tujhe bhulā.ūñ ki maiñ ḳhud ko bhuul jā.ūñ yahāñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā satā rahī hai mujhe
maiñ bhuuk pyaas se behāl ho ke sochtā huuñ
ḳhushī kā muzhda qazā kyoñ sunā rahī hai mujhe
tamām ramish-o-rañg us ke saath haiñ 'manzar'
to is jahān se raġhbat hī kyā rahī hai mujhe
misal-e-shabnam gul aazma rahi hai mujhe
tere KHayal ki KHushbu bula rahi hai mujhe
nigah mein samt girah mein bhi zar raha lekin
meri malal-nigahi miTa rahi hai mujhe
tujhe bhulaun ki main KHud ko bhul jaun yahan
KHayal-o-KHwab ki duniya sata rahi hai mujhe
main bhuk pyas se behaal ho ke sochta hun
KHushi ka muzhda qaza kyon suna rahi hai mujhe
tamam ramish-o-rang us ke sath hain 'manzar'
to is jahan se raghbat hi kya rahi hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.