misl-e-daulat jo mere baad rakhi jaegi
misl-e-daulat jo mire baad rakhī jā.egī
kis tijorī meñ tirī yaad rakhī jā.egī
ġham kā sūraj chalā aaya hai savā neze par
kyā kisī hashr kī buniyād rakhī jā.egī
pahle to toḌ dī jā.egī kamar terī yahāñ
phir tire haath meñ imdād rakhī jā.egī
rauñd dī tere taġhāful ne jo dil kī duniyā
tirī bedād se ābād rakhī jā.egī
likh to Daalī ga.ī talvār se lekin 'shahbāz'
kaise mahfūz ye rūdād rakhī jā.egī
misl-e-daulat jo mere baad rakhi jaegi
kis tijori mein teri yaad rakhi jaegi
gham ka suraj chala aaya hai sawa neze par
kya kisi hashr ki buniyaad rakhi jaegi
pahle to toD di jaegi kamar teri yahan
phir tere hath mein imdad rakhi jaegi
raund di tere taghaful ne jo dil ki duniya
teri bedad se aabaad rakhi jaegi
likh to Dali gai talwar se lekin 'shahbaz'
kaise mahfuz ye rudad rakhi jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.