misl-e-gul aadmi misl-e-Khaar aadmi
misl-e-gul aadmī misl-e-ḳhār aadmī
har tabī.at ke hote haiñ yaar aadmī
kah rahā thā ye ik bā-vaqār aadmī
aadmī se kare sirf pyaar aadmī
apnī palkoñ pe sham.eñ jalā.e hue
ḳhvāhishoñ kā hai apnī mazār aadmī
aadmī hī se miltā hai dil ko sukūñ
chhīn letā hai dil kā qarār aadmī
hai sitāroñ se aage bhī us kā guzar
ye na samjho ki hai bas ġhubār aadmī
jānvar jānvar se pashemāñ nahīñ
aadmī se magar sharmsār aadmī
ai 'zamīr' aaj milte haiñ har moḌ par
be-qarār aadmī dil-figār aadmī
misl-e-gul aadmi misl-e-KHar aadmi
har tabiat ke hote hain yar aadmi
kah raha tha ye ek ba-waqar aadmi
aadmi se kare sirf pyar aadmi
apni palkon pe shamen jalae hue
KHwahishon ka hai apni mazar aadmi
aadmi hi se milta hai dil ko sukun
chhin leta hai dil ka qarar aadmi
hai sitaron se aage bhi us ka guzar
ye na samjho ki hai bas ghubar aadmi
jaanwar jaanwar se pasheman nahin
aadmi se magar sharmsar aadmi
ai 'zamir' aaj milte hain har moD par
be-qarar aadmi dil-figar aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.