misl-e-KHushbu har anjuman mein rahe
misl-e-ḳhushbū har anjuman meñ rahe
phuul kī tarah ham chaman meñ rahe
din nikalte hī roz ran meñ rahe
apne hī ghar meñ ham kafan meñ rahe
sāzishoñ se vo baaz aa.e nahīñ
ham usūloñ kī bas ghuTan meñ rahe
yaad kuchh to rahe tujhe ham bhī
tere māthe kī har shikan meñ rahe
rang-e-duniyā meñ kho ga.e tum to
ham usī saada pairahan meñ rahe
ho ga.e ham lahūluhān magar
hausle dil ke har thakan meñ rahe
ab kī tahzīb hī nirālī hai
shahd hoñToñ pe zahr man meñ rahe
kitne chālāk haiñ vo aur 'hakīm'
ham ki bebāk bhole-pan meñ rahe
misl-e-KHushbu har anjuman mein rahe
phul ki tarah hum chaman mein rahe
din nikalte hi roz ran mein rahe
apne hi ghar mein hum kafan mein rahe
sazishon se wo baz aae nahin
hum usulon ki bas ghuTan mein rahe
yaad kuchh to rahe tujhe hum bhi
tere mathe ki har shikan mein rahe
rang-e-duniya mein kho gae tum to
hum usi sada pairahan mein rahe
ho gae hum lahuluhan magar
hausle dil ke har thakan mein rahe
ab ki tahzib hi nirali hai
shahd honTon pe zahr man mein rahe
kitne chaalak hain wo aur 'hakim'
hum ki bebak bhole-pan mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.