misl-e-nawak jo nigahon se ishaara nikla
misl-e-nāvak jo nigāhoñ se ishāra niklā
dil dhaḌaktā huā pahlū se hamārā niklā
‘āriz-e-yār pe zulfoñ ke bikhar jaane se
chāñd Duubā huā badlī se dubāra niklā
hāsil-e-sahrā-navardī hai hamārī vahshat
ḳhaak chhānī to muqaddar kā sitāra niklā
be-tuke jaam pilā.e jo mujhe saaqī ne
zabt kā bāñdh khulā naam tumhārā niklā
tai-shuda saal mayassar thī javānī ham ko
kuchh baras Thiik so baaqī meñ ḳhasāra niklā
ham bhī sūkhe hue tālāb kā hissa nikle
vo bhī pyāsā kisī dariyā kā kinārā niklā
ab to allāh se shikva bhī nahīñ kar sakte
dil bhī kam-baḳht taraf-dār tumhārā niklā
laakh behtar thā ki siine se lagāte patthar
phuul ke bhes meñ ātish kā sharāra niklā
'mehvar'-e-sabr pe ik sabr kī aayat paḌh kar
khīñch kar jism se jaañ jaan se pyārā niklā
misl-e-nawak jo nigahon se ishaara nikla
dil dhaDakta hua pahlu se hamara nikla
‘ariz-e-yar pe zulfon ke bikhar jaane se
chand Duba hua badli se dubara nikla
hasil-e-sahra-nawardi hai hamari wahshat
KHak chhani to muqaddar ka sitara nikla
be-tuke jam pilae jo mujhe saqi ne
zabt ka bandh khula nam tumhaara nikla
tai-shuda sal mayassar thi jawani hum ko
kuchh baras Thik so baqi mein KHasara nikla
hum bhi sukhe hue talab ka hissa nikle
wo bhi pyasa kisi dariya ka kinara nikla
ab to allah se shikwa bhi nahin kar sakte
dil bhi kam-baKHt taraf-dar tumhaara nikla
lakh behtar tha ki sine se lagate patthar
phul ke bhes mein aatish ka sharara nikla
'mehwar'-e-sabr pe ek sabr ki aayat paDh kar
khinch kar jism se jaan jaan se pyara nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.